Top 8 tips Kiss - Kaise Kare Kiss in Hindi


Kiss  pyar ka ek khoobsurat ehsaas hota hai. Har wo insaan jo kisi se pyar karta hai wo jaroor ye chahta hai ki wo apne pyar ko kiss kare aur apne pyar ka izhaar kare.

Yeh ek pyara ehsaas hota hai, Kiss ek aisa ahsaas hai jo kisi bhi premi jode ya pati patni ko sharirik roop se jodne ke sath-sath mansik roop se bhi jodta hai. Kiss kisi bhi rishte ko majbooti pradan karta hai aur isse har rishte me pyaar badta hai.

Kiss karne ka ki special tareeka nahi hota lekin agar aap apne Kiss ko khass banana chahte hain toh kuch baton ka aapko dhyan rakhna hota hai jisse aapka saathi bhi khush ho jayega aur aapka Kiss bhi khass ban jayega.

Waise Kiss  aap kisi bhi samay kar sakte hain, uska koi samay nahi hota hai. Yahan hum Kiss ko karne ke kuch khaas tareeke aapko batayenge jinse aapka Kiss hamesha ke liye yaadgaar ban jayega.

Kissing Tips in Hindi – In Chezo ka Rahke Khayal



1.Kiss karne ke liye sabse pehli jarurat ye hai ki kiss karte samay aap kisi bhi baat ke bare me na soche, yani ki chahe aapka koi bhi kaam ho aap sirf apne partner ke hontho ( lips ) ke sparsh ko mehsoos Karen aur apne partner ko Kiss ke sath mehsoos Karen aur kisi bhi cheez ki jaldbaazi na Karen. Sath hi is tarah ki koi bhi baat na soche ki ab aage kya karna hai, kyuki aap isse aur jyada excited ho sakte hain, aur nervousness bhi bad sakti hai.

2. Is baat ka jaroor dhyan rakhen ki aapke muh se badbu ya kisi bhi prakar ki durgadh na aaye. Agar aapke muh se kisi bhi prakar ki badbu aa rahi hai toh apne muh ko achchi tarah se saaf kar le aur dental hygiene ka khaas dhyan rakhe. Kyuki agar aapka muh saaf nahi rehta hai ya phir kisi bhi tarah ki badbu aati hai toh ye Kiss aapke partener ke liye pyar ka ahsaas na hokar ek saza ban sakti hai. Muh ko gandh mukt ( smell free ) banane ke liye aap Kiss karne se pehle brush kar sakte hain ya phir agar brush karne ki condition me nahi hain toh kisi bhi tarah ke mouth freshner ka bhi prayog kar sakte hain.

3. Pehle Kiss ( first kiss ) par is baat ka khaas khayal rakhen ki jayad der tak kiss na Karen, apne saathi ( partner ) ke honthon ki chuan ( touch ) ko mehsus Karen aur apne partner ko bhi wo ahsaas hone de. Lekin yadi aapka partner chahata hai ki aap jyada der tak Kiss ko jaari rakhen toh aap apne saathi ki ikcha ke anusaar kiss Karen. Iske sath hi ek baat ka aur dhyaan rakhen ki uttejit hokar apne partner ko jyada zor se kiss na Karen, pehli baar me sab kuch aaraam se aur pyar se apne partner ki ikcha ke anusaar Karen.

4. Kiss karte samay apne partner ki pasand ka khaas kahayl rakhen. Kis karte samay aaram se gale ( neck ) par kiss Karen aur dheere dheere upar ki taraf badte huye kaano me kiss Karen aur apni garam saanson ko apne partner ke kaano me fooken. Isse aapka partner bahut hi khush ho jayega aur uttejit ho jayega.

Kissing Tips in Hindi – How to Kiss Girls in Hindi



Khaas kar mahilaon ke kaan ke neeche ka bhaag bahut hi sensitive hota hai aur agar wahan par kiss kiya jaye toh isse unko bahut hi uttejna ( excitement ) hogi. Kyuki mahilaon ko kaan ke aas pass aur gale par kiss karna bahut hi pasand hota hai.

5. Kiss ( Kiss ) karte samay ek baat ka dhyan rakhe ki aap Kiss ko karte samay jyada soche na, khaas kar ye baat ki kahi aap kiss galat tareeke se toh kiss nahi kar rahe hain, kyuki kiss karne ka koi khaas tareeka nahi hota hai, aap is tarah se kiss Karen jisse ki aapka partener khush ho. Aapke partner ki khushi jayada jaroori hai.

6. Kiss bahut hi aaram se Karen aur unke chehre par pyar se apne haathon ki ungliyan phere, isse aapke partner ko achcha feel hoga. Sath hi jab aap apne partner ko kiss Karen toh unhe kamar se pakde ya phir unki gardan (neck ) ke peeche se bhi pakad sakte hain. Kiss aisa ho jisse aapke partner ko koi bhi pareshani na ho, kiss ke samay comfort ka pura dhyan rakhe.

7. Kissing ke liye shaant ( relax ) hona bahut jaruri hai, kiss karne ke pehle saamanya roop se saans le aur relax ho jayen. Jab aap kiss kar rahe hote hai toh muh se toh saans le nahi sakte isliye naak se dheere-dheere saans le aur aaraam-aaraam se kiss Karen aur aapke partner ko bhi aapki hi tarah karna chahiye, aisa karne se aap lambi kiss kar sakte hain aur apni kiss ko aap aur aapka partner dono hi enjoy kar sakte hai.
kissing tips in hindi

8. Kiss ko aap apne kisi bhi andaaz me kar sakte hain, iska koi kaas andaaz nahi hota, jaisa aapke aur aapke partner ko achcha lage aap wo tareeka apna sakte hain. Kiss karte samay aapko expressive aur impressive hona bahut jaruri hai.
Is tarah hamne yahan jaane kiss karne ke kuch tareeke jisse aap apne partner ko khush kar sakte hain aur apni kiss ko enjoy kar sakte hain. toh ab der kis baat ki hai, in tips aur baton ka dhyan rakhe aur apne kiss ko enjoy Karen.


Top 8 tips Kiss - Kaise Kare Kiss in Hindi Top 8 tips Kiss - Kaise Kare Kiss in Hindi Reviewed by Pihu Sharma on 04:18:00 Rating: 5

No comments: